Waqt Poetry in Urdu

 

15+ | Best Waqt Poetry in Urdu

If you’re looking for the best Waqt Poetry In Urdu then congrats you found the right place.

Here you get the latest collection of 15+ Waqt Shayari in Urdu text 

Waqt Se Ab Aur Kya Rishta Karay
Jaan-e-Janan Hum Tujhay Har Aaye Thay

وقت سے اب اور کیا رشتہ کریں
جان جاناں ہم تجھے ہار آے تھے

Mere Bure Waqt Ne Hi Haqeeqat Dekhai
Jise Mein Apna Samjhta Tha Unho Ne Hi Auqat Dekhai

میرے برے وقت نے ہی حقیقت دکھائی
جسے میں اپنا سمجھتا تھا انہوں نے ہی اوقات دکھائی

Tumhara Ghuroor Tumhein Fana Karwayein Ga
Mein Kya Hoon Yeh Tumhein Waqt Batayein Ga

تمہارا غرور تمھیں فنا کرواییں گا
میں کیا ہوں یہ تمھیں وقت بتاییں گا

Mumkin Hai Aisa Waqt Ho Tarteeb-e-Waqt Mein
Dustak Ko Tera Hath Barhe Mera Dar Na Ho

ممکن ہے ایسا وقت ہو ترتیب وقت میں
دستک کو تیرا ہاتھ بڑھے میرا در نہ ہو

Mein Nay Har Wafadar Ko Bewafai Kartey Dekha Hai
Waqt Aane Pah Har Ek Ko Rang Badalte Dekha Hai

میں نے ہر وفادار کو بے وفائی کرتے دیکھا ہے
وقت آنے پہ ہر ایک کو رنگ بدلتے دیکھا ہے

Kuch Waqt Guzarne Ke Baad Ehsaas Hota Hai
Zindagi Mein Jo Hota Hai Acha Hota Hai

کچھ وقت گزرنے کے بعد احساس ہوتا ہے
زندگی میں جو ہوتا ہے اچھا ہوتا ہے

Zara Sa Waqt Kya Badla Nazar Milane Lagay
Jin Ki Auqaat Nahi Thi Woh Bhi Sar Uthane Lagay

ذرا سا وقت کیا بدلہ نظر ملانے لگے
جن کی اوقات نہیں تھی وہ بھی سر اٹھانے لگے

Ae Khuda Bas Itni Si Choot Da De
Waqt Se Lar Pao Aisi Taqaat Da De

اے خدا بس اتنی سی چھوٹ دے دے
وقت سے لڑ پاؤ ایسی طاقت دے دے

Kuch Hi Der Ki Khamoshi Hai Phir Kaano Mein Shor Aayega
Tumhara Toh Sirf Waqt Aaya Hai, Humara Dor Aayega

کچھ ہی دیر کی خاموشی ہے پھر کانوں میں شور آے گا
تمہارا تو صرف وقت آیا ہے، ہمارا دور آے گا

Do Hi Gawah Thay Meri Mohabbat Ke
Waqt Aur Woh, Ek Guzar Gaya Dusra Muqar Gaya

دو ہی گواہ تھے میری محبّت کے
وقت اور وہ، ایک گزر گیا دوسرا مقر گیا

Mahrban Ho Ke Bula Lo Mujhay Chaho Jis Waqt
Mein Gaya Waqt Nahi Hoon Keh Phir Aa Bhi Na Sako

مہرباں ہو کے بلا لو مجھے چاہو جس وقت
میں گیا وقت نہیں ہوں کہ پھر آ بھی نہ سکوں

Waqt Hota Hai Har Ek Zakhm Ka Marham Mohsin!
Phir Bhi Kuch Zakhm Thay Aise Jo Na Bharte Dekhay

!وقت ہوتا ہے ہر ایک زخم کا مرہم محسن
پھر بھی کچھ زخم تھے ایسے جو نہ بھرتے دیکھے

Post a Comment

Previous Post Next Post