15+ | Best Dil 💗 Poetry in Urdu
If you’re looking for the best Dil Poetry In Urdu then congrats you found the right place.
Here you get the latest collection of 15+ Dil Shayari in Urdu text
Woh Dil Hi Kya Tere Milne Ki Jo Dua Na Karay
Mein Tujh Ko Bhool Ke Zinda Rahon Khuda Na Karay
وہ دل ہی کیا تیرے ملنے کی جو دعا نہ کرے
میں تجھ کو بھول کے زندہ رہوں خدا نہ کرے
Dil Ne Wafa Ke Naam Par Kaar-e-Wafa Nahi Kiya
Khud Ko Halaak Kar Liya Khud Ko Fida Nahi Kiya
دل نے وفا کے نام پر کار وفا نہیں کیا
خود کو ہلاک کر لیا خود کو فدا نہیں کیا
Hai Mere Dil Ki Guzarish Ke Mujh Ko Mat Choro
Yeh Meri Jaan Ka Taqaza Hai Ab Bhi Aajao
ہے میرے دل کی گزارش کے مجھ کو مت چھوڑو
یہ میری جان کا تقاضہ ہے اب بھی آجاؤ
Laga Kar Aag Is Dil Ko Chalay Ho Tum Kahan Mohsin!
Abhi Toh Raakh Urnay Par Tamasha Aur Bhi Hoga
! لگا کر آگ اس دل کو چلے ہو تم کہاں محسن
ابھی تو راکھ اڑنے پر تماشا اور بھی ہوگا
To Mera Kuch Nahi Lagta Hai Magar Jaan-e-Hayat
Janay Kyun Tere Liye Dil Ko Dharkta Dekhon
تو میرا کچھ نہیں لگتا ہے مگر جان حیات
جانے کیوں تیرے لئے دل کو دھڑکتا دیکھوں
Dil Woh Nagar Nahi Ke Phir Abaad Hosaky
Pachtaoge Sunho Yeh Basti Ujaar Kar
دل وہ نگر نہیں کے پھر آباد ہوسکے
پچتاؤ گے سنو یہ بستی اجاڑ کر
Aur Kya Dekhnay Ko Baqi Hai
Aap Se Dil Laga Ke Dekh Liya
اور کیا دیکھنے کو باقی ہے
آپ سے دل لگا کے دیکھ لیا
Ek Lamhay Ki Tawaja Nahi Hasil Us Ki
Aur Yeh Dil Keh Use Had Se Sawa Chahta Hai
ایک لمحے کی توجہ نہیں حاصل اس کی
اور یہ دل کہ اسے حد سے سوا چاہتا ہے
Dil Na Umeed To Nahi Na Kaam Hi To Hai
Lambi Hai Gham Ki Shaam Magar Shaam Hi To Hai
دل نہ امید تو نہیں نہ کام ہی تو ہے
لمبی ہے غم کی شام مگر شام ہی تو ہے
Tumhara Hijr Manalon Agar Ijazat Hoo
Mein Dil Kisi Se Lagalon Agar Ijazat Hoo
تمہارا ہجر منالوں اگر اجازت ہو
میں دل کسی سے لگالوں اگر اجازت ہو
Seenay Pah Hath Hai Na Nazar Ko Talash-e-Baam
Dil Sath De Tou Aaj Gham-e-Aarzoo Karein
سینے پہ ہاتھ ہے نہ نظر کو تلاش بام
دل ساتھ دے تو آج غم آرزو کریں
Tujh Se Pehle Bhi Kayi Zakham Thay Seenay Mein Magar!
Ab Ke Woh Dard Hai Dil Mein Keh Ragein Tootti Hain
!تجھ سے پہلے بھی کئی زخم تھے سینے میں مگر
اب کے وہ درد ہے دل میں کہ رگیں ٹوٹتی ہیں
Agarchay Tujh Se Bohat Ikhtilaf Bhi Na Howa
Magar Yeh Dil Teri Janib Se Saaf Bhi Na Howa
اگرچہ تجھ سے بہت اختلاف بھی نہ ہوا
مگر یہ دل تیری جانب سے صاف بھی نہ ہوا
Aaj Dil Mein Teri Yaadon Ke Diye Jalte Hain
Kal Yahi Rasta Sunsaan Bhi Hosakta Hai
آج دل میں تیری یادوں کے دیۓ جلتے ہیں
کل یہی راستہ سنسان بھی ہوسکتا ہے
Talash Mujh Ko Na Kar Dasht Rahbar Mein Ghalib
Nigah-e-Dil Se Dekh Tere Kitna Qareeb Hoon Mein
! تلاش مجھ کو نہ کر دشت رہبر میں غالب
نگا دل سے دیکھ تیرے کتنا قریب ہوں میں